sar mein sauda bhi nahin dil mein tamanna bhi nahin lekin is tark-e-mohabbat ka bharosa bhi nahin dil ki ginti na yaganon mein na beganon mein lekin us jalwa-gah-e-naz se uthta bhi nahin mehrbani ko mohabbat nahin kahte ai dost aah ab mujh se teri ranjish-e-beja bhi nahin ek muddat se teri yaad bhi aai na hamein aur hum bhul gae hon tujhe aisa bhi nahin aaj ghaflat bhi un aankhon mein hai pahle se siwa aaj hi khatir-e-bimar shakeba bhi nahin baat ye hai ki sukun-e-dil-e-wahshi ka maqam kunj-e-zindan bhi nahin wusat-e-sahra bhi nahin are sayyaad hamin gul hain hamin bulbul hain tu ne kuchh aah suna bhi nahin dekha bhi nahin aah ye majma-e-ahbab ye bazm-e-khamosh aaj mahfil mein 'firaq'-e-sukhan-ara bhi nahin ye bhi sach hai ki mohabbat pe nahin main majbur ye bhi sach hai ki tera husn kuchh aisa bhi nahin yun to hangame uthate nahin diwana-e-ishq magar ai dost kuchh aison ka thikana bhi nahin fitrat-e-husn to malum hai tujh ko hamdam chaara hi kya hai ba-juz sabr so hota bhi nahin munh se hum apne bura to nahin kahte ki 'firaq' hai tera dost magar aadmi achchha bhi nahin