yun khush-guman rakkha gaya umar bhar mujhe har sham se mali hai nawed-e-sahar mujhe main tha jo hadd-e-jism se aage na badh saka wo le gaya badan se mere chhin kar mujhe main zaea ho chuka hun bahut khel khel mein ai waqt ab na aur laga daw par mujhe mere liye qaza hai abhi daimi hayat kuchh log chahte hain abhi tut kar mujhe hona hai mo'tabar mujhe apni nigah mein kab e'tibar bakhshegi teri nazar mujhe meri tarah 'nadim' use hichkiyan na aaen jo sochta hai raat kai pichhle pahar mujhe