sulag rahi hai nazar sham ke dhundalke mein koi to aae idhar sham ke dhundalke mein guzarne walon ko hasrat se dekhne wala ye main hun ya ki shajar sham ke dhundalke mein sitare tut ke daman mein aa nahin sakte koi guman na kar sham ke dhundalke mein talash thi mujhe duniya ki dhup mein jis ki mila wo saya magar sham ke dhundalke mein tere khayal mein duba to main ne kya dekha ufuq ufuq hai sahar sham ke dhundalke mein koi charagh-ba-kaf aa raha hai meri taraf ye khwab hai ki khabar sham ke dhundalke mein