reza reza jaise koi tut gaya hai mere andar kaun hai 'sayyad' karb jo itne jhel raha hai mere andar ujdi ujdi khwab ki basti sahra sahra aankhen meri jaane ye tufan kahan se aaj utha hai mere andar khamoshi se jhel rahi hai garmi sardi har mausam ki majburi ki chadar odhe ek ana hai mere andar aaj na jaane kyun lagta hai dil ka mausam nikhra nikhra fasl-e-junun ka mehman ban kar kaun ruka hai mere andar zulf ke sae khwab ki manzil ras use kya aaegi ab sahra sahra khak jo kab se chhan raha hai mere andar aaj bhi jaane kyun lagta hai itna hi anjaan sa kuchh wo jis ne sare dukh-sukh bante sath raha hai mere andar kab se khada main soch raha hun iman ke dorahe par ye ek to wo jo sab ka khuda hai ek khuda hai mere andar