reza reza sa bhala mujh mein bikharta kya he ab tera gham bhi nahin hai to ye qissa kya hai kyun saja leta hai palkon pe ye ashkon ke charagh ai hawa kuchh to bata phul se rishta kya he us ne manga hai duaon mein khuda se mujh ko aur main chup hun bhala us ne bhi manga kya hai sher-goi se kahin masale hal hote hain jaante hum bhi hain in baaton mein rakkha kya hai waqt jismon ko kamanon mein badal deta he koi samjha do use khud ko samajhta kya hai khud samajh jaoge hathon ki lakiren 'faruq' us ki aankhon mein padho ghaur se likkha kya hai