tamam shahr mein us jaisa khasta-haal na tha magar wo shakhs ki phir bhi koi malal na tha ye aur baat main apni ana mein qaid raha wagarna us ka pighalna to kuchh muhaal na tha bichhad gaya hai to ye kah ke dil ko bahlaun wajud us ka mere haq mein nek-fal na tha samajh raha tha muhafiz jise main barson se mujhi ko qatl karega ye ehtimal na tha simat gai hai sabhi ke khulus ki chadar ye jazba pahle to is darja paemal na tha khamosh sunte rahe sab amir-e-shahr ka hukm kisi ke lab pe koi harf-e-ishtial na tha