tujh se mansub rahun teri kahi jaun piya teri nisbat se likhi aur padhi jaun piya jhumti phirti hawaon ki tarah se main bhi chum kar lams tera mast hui jaun piya tere ehsas se lipti rahun khushbu ki tarah raat ki rani banun aur khuli jaun piya teri aahat ka samaat mein koi dar jo khule main usi dar mein diya ban ke jali jaun piya dal dun aab-e-sitamgar mein kahin kachcha ghada dar-e-kisra mein kahin zinda chuni jaun piya raat ke pichhle pahar wajd ke aalam mein kahin main teri ruh mein tahlil hui jaun piya phir tere ishq mein khushbu ka badan pahne hue teri chaukhat pe agar ban ke jali jaun piya jab kahin koi faqiron mein kare zikr mera main tere dar ke faqiron mein gini jaun piya mere hujre mein teri chap ke jab phul khilen aap hi aap charaghon mein dhali jaun piya ho agar dafn mere sath tera naqsh-e-qadam raqs karti su-e-maqtal ba-khushi jaun piya ban ke dargahon pe main hijr ke maron ki dua dard ke champai dhagon mein bandhi jaun piya jab tere naqsh-e-qadam par main jhuki jaun piya aasmanon mein udun udti chali jaun piya dekh le is mein sarasar teri badnami hai ki tere dar se uthun aur tahi jaun piya