rindan-e-baada-nosh ki chhagal utha to la baad-e-bahaar daud ke baadal utha to la aa umr-e-rafta hashr ke dam-kham bhi dekh len tufan-e-zindagi ki wo halchal utha to la sar se dayar-e-gham ke sanichar utar de mangal hai jis mein ja ke wo jangal utha to la lalach bata ke dur se waiz ka rang dekh khali hi kyun na ho koi botal utha to la ai zindagi junun na sahi be-khudi sahi tu kuchh bhi apni aql se pagal utha to la aati hai yaad subh-e-masarrat ki bar bar khurshid aate aate use kal utha to la kashti hai ghat par to chale kyun na daur aaj kal bas chale chale na chale chal utha to la 'natiq' junun-e-khidmat-e-ahbab kis liye dekhen to kya mila hai tujhe phal utha to la