sard ho jati hai fikr-e-jah-e-duniya jis ke baad wo zara sa hai khayal ai dil ki phir kya is ke baad dil ba-mushkil aastan-e-but ke sajdon se phira sar uthaya to sahi lekin badi ghis ghis ke baad be-khudi aai thi un ke baad bazm-e-naz mein phir nahin malum hum ko kaun aaya kis ke baad khun-e-dil hi par masaib kash ho jate tamam dekhna ye hai ki hona aur kya hai is ke baad khud ko pahchane to insan kyun rahe paband-e-ghair ye kamal-e-be-hayai hai zawal-e-his ke baad koi jata hai to jae kis ko parwa hai yahan bazm-e-alam ye kaho suni hui hai kis ke baad kho diya shohrat ne apni sher-khwani ka maza dad mil jati hai 'natiq' har ratab-yabis ke baad