rindan-e-tishna-kaam ko ja kar khabar karen aai bahaar abr-e-karam par nazar karen hun munfail zarur magar ai gunah-e-ishq ab ashk bhi nahin hain jo daman ko tar karen be-wajh kab hai pursish-e-haal-e-shab-e-firaq maqsad ye hai izafa-e-dard-e-jigar karen fursat ke din hain saqi-e-mai-kash-nawaz uth kyun intizar-e-mausam-e-diwana-gar karen mujh par utha rahe hain jo mahfil mein ungliyan apni haqiqaton pe to aakhir nazar karen kabe mein khamoshi hai sanam-khane mein sukut surat-parast ab tere sajda kidhar karen uf re jamal-e-jalwa-e-jaanan ki tabishen dekhen unhen ki matam-e-tab-e-nazar karen auraq-e-do-jahan pe bhi hoga na ikhtitam 'ehsan' sarguzasht-e-alam mukhtasar karen