zara si baat pe dil se bigaD aaya hun

zara si baat pe dil se bigad aaya hun
bana banaya hua ghar ujad aaya hun

wo intiqam ki aatish thi mere sine mein
mila na koi to khud ko pachhad aaya hun

main is jahan ki qismat badalne nikla tha
aur apne hath ka likkha hi phad aaya hun

ab apne dusre phere ke intizar mein hun
jahan jahan mere dushman hain tad aaya hun

main us gali mein gaya aur dil o nigah samet
'jamal' jeb mein jo kuchh tha jhad aaya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close