wo nikhat-e-gesu phir ai ham-nafasan aai ab dam mein dam aaya hai ab jaan mein jaan aai har tanz pe rindon ne sar apna jhukaya hai us par bhi na waiz ko tahzib-e-mughan aai jab bhi ye khayal aaya kya dair hai kya kaba naqus-e-barhaman se aawaz-e-azan aai us shokh ki baaton ko dushwar hai dohrana jab baad-e-saba aai aashufta-bayan aai urdu jise kahte hain tahzib ka chashma hai wo shakhs mohazzab hai jis ko ye zaban aai ye khanda-e-gul kya hai hum ne to ye dekha hai kaliyon ke tabassum mein chhup chhup ke fughan aai aabaad khayal us ka shadan rahe yaad us ki ek dushman-e-dil aaya ek aafat-e-jaan aai ashaar-e-'rawish' sun kar tausif o sataish ko 'sadi' ka bayan aaya 'hafiz' ki zaban aai