sukun-e-zat waqf-e-intishaar kar liya gaya ghazab hua ki dil ka e'tibar kar liya gaya qadam qadam mile jo aable rah-e-hayat mein to aansuon ko misl-e-abshaar kar liya gaya umid-e-subh-o-sham gham ke darmiyan basar jo ki to saaton ko dard mein shumar kar liya gaya mila fareb-o-makr se bhi kab wo hila jo magar libas sadgi ka dagh-dar kar liya gaya nakir ne madad badi hisab rakh ke ki meri gunah tamam umr be-shumar kar liya gaya zaban-o-jism-o-jaan-o-dil gawah sab jo ban gae to jurm un se ho ke darkinar kar liya gaya gawah adliya subut hashiyon pe aa gae hikayaton pe aise e'tibar kar liya gaya zaban-e-haal muntakhab hui bayan-e-dard ko wajud aap apna tar-tar kar liya gaya garan zamin-e-kisht-e-gham-e-jigar ko naqd ki ada masarraton ka wahm tha udhaar kar liya gaya jo ek jam 'farhat'-e-hayat ki umid tha sitam ye hai ki wo bhi kal pukar kar liya gaya