shab ki shab mahfil mein koi khush-kalam aaya to kya tyag di jo bazm us mein mera nam aaya to kya zinat-e-qirtas jitne harf the dushman hue ek tera ism zer-e-insiram aaya to kya nargha-e-ada mein ghirte hi badan ghirban tha ab safa-e-yaran se koi be-niyam aaya to kya kushtagan-e-shab ko pursa dene wale ye bhi sun ab tere lahje mein rang-e-ehtaram aaya to kya muntazir aankhen firaq-e-yar mein pathra gain subh ka bhula palat kar ghar jo sham aaya to kya dasht-e-khwahish mein ba-kar-e-said jab muddat ke baad ek ghazal-e-pa-burida zer-e-dam aaya to kya