rone ko bahut roe bahut aah-o-fughan ki katti nahin zanjir magar sud-o-ziyan ki aaen jo yahan ahl-e-khirad soch ke aaen is shahr se milti hain haden shahr-e-guman ki karte hain tawaf aaj wo khud apne gharon ka jo sair ko nikle the kabhi sare jahan ki is dasht ke anjam pe pahle se nazar thi tasir samajhte the hum aawaz-e-sagan ki ilzam lagata hai yahi hum pe zamana taswir banate hain kisi aur jahan ki pahle hi kaha karte the mat ghaur se dekho har baat nirali hai yahan dida-waran ki 'ashufta' ab us shakhs se kya khak nibahen jo baat samajhta hi nahin dil ki zaban ki