tujh tak guzar kisi ka ai gul-badan na dekha baad-e-saba ne ab tak tera chaman na dekha maila ho rang us ka gar chandni mein nikle chashm-e-falak ne aisa nazuk-badan na dekha uryan na wo nahaya hammam ho ki dariya chashm-e-hubab ne bhi us ka badan na dekha milti hai mere dil ko qatil ki khush-khirami dekha zamana lekin aisa chalan na dekha sau sau kiye bahane jab roz-e-wada aaya ai hila-saz tujh sa paiman-shikan na dekha qisse sune hazaron taswiren dekhin lakhon saj-dhaj suni na aisi ye bankpan na dekha