sahme se the parind basera udas tha jangal ki tarah shahr mein khauf-o-hiras tha donon hi ajnabi the magar tut kar mile main dard-ashna wo sitara-shanas tha kis tamkanat se anjuman aarasta kiye tanhaiyon mein koi mere aas-pas tha aankhon se meri subh tak aansu na tham sake kal raat wo mila to bahut hi udas tha apni to intishaar mein guzri tamam umr wo koi aur hain jinhen mahaul ras tha us ne kuchh is ada se pazirai ki meri tahzib-e-husn par main sarapa sipas tha samt-e-safar badal dega wo agle mod par 'ishrat' mujhe guman tha na koi qayas tha