shahron ki khak chhan kar aaya hun ganw mein kitna sukun mila hai darakhton ki chhanw mein wo aa raha hai meri taraf rengta hua kanta talab ka chubh gaya patthar ke panw mein ab us ke jism par bhi muzayyan hain dhajjiyan jis ka shumar tha kabhi rangin qabaon mein deta raha pahad ki choti se wo sada us ki sadaen kho gain unchi fazaon mein sabza sa ek shahr pe bikhra hai chaar-su patton ke rang ghul gae thandi hawaon mein 'betab' ladkiyon ki jasarat to dekhiye khud ko shumar karti hain sab apsaraon mein