us but ko zara chhu ke to dekhen ki wo kya hai patthar hai ki ek mom ke sanche mein dhala hai us ne mujhe apna kabhi samjha nahin lekin jis samt gaya hun wo mere sath raha hai jangal hai darindon ka koi sath nahin hai kis jurm ki padash mein ban-bas mila hai tujh par bhi har ek samt se pathraw hua hai mujh par bhi har ek samt se pathraw hua hai mujh ko teri aawaz ka saya hi bahut hai ye bahs hai be-kar ki tu mujh se juda hai chehre jo hain kashkol hain ajsam khandar hain har shakhs yahan waqt ka aaina bana hai har hath mein hai gyan ki pustak magar 'anjum' is daur ka insan bhi bu-jahl raha hai