roz-e-awwal se asir ai dil-e-nashad hain hum

roz-e-awwal se asir ai dil-e-nashad hain hum
parwarish-yafta-e-khana-e-sayyaad hain hum

kis tarah se na pise dil rukh-e-gandum-gun par
aaqibat hazrat-e-adam hi ki aulad hain hum

jo ladakpan se hai gahwara-e-betabi ki
naz-parwarda-e-ishq-e-sitam ijad hain hum

kyun na ho ranj-e-asiri-e-qafas se rahat
khana-zad-e-chaman-e-gulshan-e-bedad hain hum

khusraw-e-shahr-e-ada hai jo wo rashk-e-shirin
koh-e-andoh-o-gham-o-yas ke farhad hain hum

did-e-sanat se hai yan ghayat-e-did-e-sanea
ai buto shefta-e-husn-e-khuda-dad hain hum

qil se roke use hum pe jab late hain
tifl-e-ashk apne ye kahte hain ki ustad hain hum

qaid se bhi na riha ho ke hawa kuchh dil shad
mubtala-e-gham-e-tanhai-e-sayyaad hain hum

chaman-e-dahr mein be-wajh nahin hain nalan
andalib-e-gul-e-rukhsara-e-sayyaad hain hum

apni miras mein hain dasht-o-jabal ai wahshat
ja-nashin qais ke hain waris-e-farhad hain hum

hathkadi karti hai baiat to qadam lete hain khar
tere diwane jo ai rashk-e-pari-zad hain hum

qadr apni na jahan mein hui ba-wasf-kamal
sifat-e-bu-e-gul is bagh mein barbaad hain hum

shikwa karta hun tabahi ke to farmate hain
khana-barbaadi-e-ushshaq ki buniyaad hain hum

jaan-nisaron se hai tegh-e-nigah-e-yar ka qaul
dam mein lakhon ko karen qatl wo jallad hain hum

hum shikayat nahin kuchh karte tumhin munsif ho
wajibur-rahm hain ya qabil-e-bedad hain hum

hum samajhte hain padhai hui baaten na karo
tifl-e-maktab ho tum ai jaan abhi ustad hain hum

gesu-e-yar ke saude ne kiya khana-kharab
kya hua khwahi-e-sayyad mein barbaad hain hum

aaj hoti hai 'qalaq' qata-e-ummid-e-didar
nigaran is liye su-e-rukh-e-jallad hain hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close