zindagani jawedani bhi nahin lekin is ka koi sani bhi nahin hai sawa-neze pe suraj ka alam tere gham ki saebani bhi nahin manzilen hi manzilen hain har taraf raste ki ek nishani bhi nahin aaine ki aankh mein ab ke baras koi aks-e-mehrbani bhi nahin aankh bhi apni sarab-alud hai aur is dariya mein pani bhi nahin juz tahayyur gard-baad-e-zist mein koi manzar ghair-fani bhi nahin dard ko dilkash banaen kis tarah dastan-e-gham kahani bhi nahin yun luta hai gulshan-e-wahm-o-guman koi khar-e-bad-gumani bhi nahin