shayad abhi hai rakh mein koi sharar bhi kyun warna intizar bhi hai iztirar bhi dhyan aa gaya tha marg-e-dil-e-na-murad ka milne ko mil gaya hai sukun bhi qarar bhi ab dhundne chale ho musafir ko dosto had-e-nigah tak na raha jab ghubar bhi har aastan pe nasiya farsa hain aaj wo jo kal na kar sake the tera intizar bhi ek rah ruk gai to thithuk kyun gain 'ada' aabaad bastiyan hain pahadon ke par bhi