samajh mein KHak ye jadugari nahin aati

samajh mein khak ye jadugari nahin aati
charagh jalte hain aur raushni nahin aati

kisi ke naz pe afsurda-khatiri dil ki
hansi ki baat hai phir bhi hansi nahin aati

na puchh haiat-e-tarf-o-chaman ki aisi bhi
bahaar bagh mein bahki hui nahin aati

hujum-e-aish to in tira-bastiyon mein kahan
kahin se aah ki aawaz bhi nahin aati

judaiyon se shikayat to ho bhi jati hai
rifaqaton se wafa mein kami nahin aati

kuchh aisa mahw hai asbab-e-ranj-o-aish mein dil
ki aish o ranj ki pahchan hi nahin aati

saza ye hai ki rahen chashm-e-lutf se mahrum
khata ye hai ki hawas peshgi nahin aati

khuda rakhe teri mahfil ki raunaqen aabaad
nazargi se nazar mein kami nahin aati

badi talash se milti hai zindagi ai dost
qaza ki tarah pata puchhti nahin aati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close