naqab ulta hai shamon ne sitaro tum to so jao karenge raqs parwane sitaro tum to so jao nigahon mein nigah dale nashe mein chur matwale padhenge dil ke afsane sitaro tum to so jao sajegi mahfil-e-yaran badan simabi jumenge karenge raqs paimane sitaro tum to so jao bhatakte hain gulistan mein bayabanon mein sahra mein misal-e-qais diwane sitaro tum to so jao wo baithe hain jhukae sar ada-e-dil-nawazi se lage hain khud se sharmane sitaro tum to so jao khuli zulfen liye wo jhil ki jaanib khiraman se barhana-pa lage aane sitaro tum to so jao dabae hont danton mein lage hain chashm-o-mizhgan se nazar ke tir barsane sitaro tum to so jao utar kar aasman se dekhiye ruthe sanam ko ab qamar aaya hai bahlane sitaro tum to so jao hue hain tukde tukde ab dil-e-bismil ke ai 'kaifi' ki hoga kya khuda jaane sitaro tum to so jao