rudad-e-alam kis se kahun tere siwa main dar par to kisi ghair ke jaane se raha main us waqt mere samne kya kya nahin aaya jab tazkiya-e-nafas ki rahon pe chala main kyon jae nazar apne siwa aur kisi par mujh se to bura koi nahin sab se bura main kis munh se kahun main ki saza-war-e-karam hun jab apne kiye par kabhi nadim na hua main is daur-e-taraqqi ka bhala ho ki 'ziya' aaj akhlaq se ausaf-e-hamida se gaya main