soz-e-gham ranj-o-alam had se siwa dete hain wo bhi kya khub mohabbat ka sila dete hain ishq ki rah mein marte nahin marne wale ishq ko zinda-e-jawed bana dete hain kis tarah jaan se jate hain marizan-e-alam aaiye aaj ye manzar bhi dikha dete hain kya guzarti hai kisi par unhen ye kya malum wo to parda rukh-e-raushan se utha dete hain tum 'ziya' kis ko sunate ho fasana dil ka wo to har baat ka afsana bana dete hain