tujhe jawedan bana de wo iram qubul kar le mera mashwara hai tujh ko koi gham qubul kar le ba-kamal-e-azm-e-rasikh tu sitam qubul kar le kabhi dar tak gae the wo qadam qubul kar le kai aur tishna-lab hain teri anjuman mein saqi main wo bul-hawas nahin hun jo karam qubul kar le rah-o-rasm-e-ashiqi mein jo wafa ke nam par hon dil-e-be-qarar hans kar wo sitam qubul kar le wo ho kaba ya ki mandir tu gharaz na rakh kisi se tujhe aadmi bana de wo haram qubul kar le ye sujud-e-arifana bade kaam ke hain lekin wahi sajda be-khata hai jo sanam qubul kar le wo kabhi shararatan bhi jo ata karen to 'basit' ba-kamal-e-dil-barana tu sitam qubul kar le