ruh-e-ehsas hai tahi-daman dil hai ya hasraton ka ek madfan phailti ja rahi hai tariki sham mahsus kar rahi hai thakan multafit jab se hai nazar un ki dil ko dar-pesh hai nai uljhan meri yaadon se gul-ba-daman hai ek zohra-jamal ka aangan aadamiyat kahin na ho ruswa zindagi ka badal raha hai chalan har sitara mere muqaddar ka un ke mathe ki ban gaya hai shikan lut chuka hun rah-e-tamanna mein aarzu ab to chhod de daman kis ko apna kahen ki ai 'nasir' har hasin shakhs hai wafa dushman