shauq-e-dil-e-warafta ka ek said-e-zabun hun!

shauq-e-dil-e-warafta ka ek said-e-zabun hun!
khulta hi nahin bhed ki main kaun hun kyun hun

bas mein hai kahan ahl-e-khirad ke mujhe samjhen
jo aankh se ojhal hai main wo aks-e-darun hun

khaliq hun bahaaron ka sar-e-gulshan-e-hasti
jo phul khilata hai wo ek mauja-e-khun hun

main dast-e-zamana ke mitae na mitunga
ek naqsh-e-wafa hun ki sar-e-lauh-e-junun hun

sahba-e-haqiqat ka hun sarmast azal se
ek banda-e-azad-e-tilismat-o-fusun hun

de mujh ko dua teri talabgar hai duniya
tu jo mujhe samjha hai main kuchh us se fuzun hun

'nasir' mujhe ulfat hai kisi se to khata kya?
main halqa-e-arbab-e-hawas se to barun hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close