ruh gar nauha-kunan ho to ghazal hoti hai dil ko ehsas-e-ziyan ho to ghazal hoti hai mahfil-e-mah-washan mein to ghazal ho na saki bazm-e-ashufta-saran ho to ghazal hoti hai sirf aankhon mein nami se na banegi koi baat ek dariya sa rawan ho to ghazal hoti hai main ne mahsus kiya hai ki kisi ki wo nazar meri jaanib nigaran ho to ghazal hoti hai dhime dhime se sulagte hue jazbaat ke sath 'mir' ka tarz-e-bayan ho to ghazal hoti hai