wo tamam rang ana ke the wo umang sari lahu se thi wo jo rabt-zabt gulon se tha jo dua-salam subu se thi koi aur baat hi kufr thi koi aur zikr hi shirk tha jo kisi se wada-e-did tha to tamam shab hi wazu se thi na kisi ne zakhm ki dad di na kisi ne chaak-e-rafu kiya mile hum ko jitne bhi bakhiya-gar unhen fikr apne rafu se thi tere mutribon ko khuda rakhe magar ab kahan teri bazm mein koi sur jo mere sukhan mein tha koi lai jo mere lahu se thi sar-e-karzar khade ho 'shauq' to yun hi sina super raho ki wo log kaun se bach gae jinhen ehtiyat adu se thi