tanhaiyon ke ban mein khade unghte darakht gahri udasiyon mein hain dube hue darakht sadiyan guzar gai hain teri rah dekhte laut aa ki dekh jism pe aane lage darakht kis haal mein kahan hain wo bichhde hue parind bahti hawa se puchhte rahte hain ye darakht khana-kharabiyon mein ye khulti hui hansi mismar khandaron pe ye khulte hue darakht ab tak khile hue hain sabhi shakhchon pe phul ab tak hare-bhare hain tumhaare chhue darakht thi barg-e-akhiri ki yahi aakhiri dua maula hamare baad bhi phule phale darakht