ruh ke jaane ki qalib se koi muddat nahin sabr kar ai dil tujhe kya sabr ki taqat nahin kya meri betabi-e-dil bais-e-wahshat nahin ye khalish pahlu ki mere monis-e-ghurbat nahin dil nahin hai wo nahin hai ishq ka jis mein guzar wo bhi koi aankh hai jis aankh mein hasrat nahin koi khwahan sim-o-zar ka koi talib takht ka mere aage faqr se behtar koi daulat nahin aao baitho shauq se khud ko chhupa kar dil mein tum is se behtar do-jahan mein gosha-e-uzlat nahin khulq himmat aur murawwat hain sharaf insan ke wo kabhi insan nahin hai jis mein ye haalat nahin khun-e-dil pita hai aur khata hai wo lakht-e-jigar aab-o-dana ki tere bimar ko hajat nahin le ke dil mera dam-e-rukhsat wo ye kahne lage khilat-e-tahsin se behtar koi bhi khilat nahin ai 'jamila' surat-e-taswir main khamosh hun zoaf had se badh gaya nalon ki ab qudrat nahin