tum bhi rahne lage khafa sahab kahin saya mera pada sahab hai ye banda hi bewafa sahab ghair aur tum bhale bhala sahab kyun ulajhte ho jumbish-e-lab se khair hai main ne kya kiya sahab kyun lage dene khatt-e-azadi kuchh gunah bhi ghulam ka sahab hae ri chhed raat sun sun ke haal mera kaha ki kya sahab dam-e-akhir bhi tum nahin aate bandagi ab ki main chala sahab sitam aazar zulm o jaur o jafa jo kiya so bhala kiya sahab kis se bigde the kis pe ghussa tha raat tum kis pe the khafa sahab kis ko dete the galiyan lakhon kis ka shab zikr-e-khair tha sahab nam-e-ishq-e-butan na lo 'momin' kijiye bas khuda khuda sahab