teri si bhi aafat koi ai sozish-e-tab hai ek aag hai so itni jalan aag mein kab hai mana ki tum ummid-e-wafa ke nahin qail phir kya mere jine ka koi aur sabab hai khush hun tere kine se ki shirkat se hun mahfuz jitna tere dil mein hai wo mere liye sab hai hajat nahin kuchh aur pas-e-marg magar ek yani mujhe darkar teri jumbish-e-lab hai zinda rahun kyun main ki zaban un se ho gustakh marne mein khamoshi hai khamoshi mein adab hai ho hijr to phir gor mein aur ghar mein hai kya farq jo gor ki zulmat hai wahi hijr ki shab hai izhaar-e-wafa hai to kis ummid pe ai 'shauq' tu dad-talab us se ki bedad-talab hai