ruka to raaz khula kab se apne ghar mein tha ki mera ghar to meri haalat-e-safar mein tha bahut ajib sa dukh tha jo tu ne mujh ko diya ki ek tabassum-e-makhfi bhi chashm-e-tar mein tha iraq o sham ke parde mein be-naqab hua tamam dahr ka dukh ek nange sar mein tha qadam urus-e-wafa ke kahan kahan pahunche hina ka rang sitaron ki rahguzar mein tha bas ek jurat-e-rindana arsa-e-shab mein palak jhapakte hi main arsa-e-sahar mein tha hazar rang the us ke hazar pahlu the juda juda wo jhalakta nazar nazar mein tha ba-faiz-e-bar-e-malamat jhuki kamar meri hara shajar tha magar shahr-e-be-samar mein tha