wahi aangan wahi khidki wahi dar yaad aata hai akela jab bhi hota hun mujhe ghar yaad aata hai meri be-sakhta hichki mujhe khul kar batati hai tere apnon ko ganw mein to akasr yaad aata hai jo apne pas hon un ki koi qimat nahin hoti hamare bhai ko hi lo bichhad kar yaad aata hai saphalta ke safar mein to kahan fursat ki kuchh sochen magar jab chot lagti hai muqaddar yaad aata hai may aur june ki garmi badan se jab tapakti hai nowember yaad aata hai december yaad aata hai