sada-e-dil hi ko aawaza-e-jahan na kaho khud apni hadd-e-nazar hi ko aasman na kaho har ek zarre ko hansta diya banana hai falak ke chand-sitaron ki dastan na kaho na lao ya to zaban par hadis-e-nakaami nahin to apni tamanna ko phir jawan na kaho ye apna ghar hai chalo is pe tasfiya kar len qafas kahun na ise main tum aashiyan na kaho na ittifaq-e-amal hai na ek samt-e-qadam abhi to bhid hai ye is ko karwan na kaho khasumaton mein khirad ki jahan sune na sune mere surud-e-mohabbat ko raegan na kaho jahan har ek ko sajde ka haq nahin hasil use khuda-e-mohabbat ka aastan na kaho ujad bhi jae nasheman to phir nasheman hai qafas mein phul bhi rakh den to aashiyan na kaho zamana mujh pe nahin tum pe khanda-zan hoga tum aaj doston 'mulla' ko nukta-dan na kaho