wo mere samne malbus kya badalne laga nigar khana-e-abr-o-hawa badalne laga tah-e-zamin kisi azhdahe ne jumbish ki bisat-e-khak pe manzar mera badalne laga ye kaun utra pae-gasht apni masnad se aur intizam-e-makan o sira badalne laga hua hai kaun numudar tin samton se ki andarun ka jazira-numa badalne laga ye kaise din hain hamari zamin par 'sarwat' gulon ka rang namak ka maza badalne laga