siyah raat ke badan pe dagh ban ke rah gae hum aaftab the magar charagh ban ke rah gae kisi ko ishq mein bhi ab junun se wasta nahin ye kya hua ki sare dil dimagh ban ke rah gae wo shakh shakh nile pile lal rang kya hue tamam dasht ke parind zagh ban ke rah gae jinhen ye zoam tha zamin se tishnagi mitaenge ajab hua wahi tahi-ayagh ban ke rah gae milega sab ko apna haq rahenge sab sukun se magar wo sare wade sabz bagh ban ke rah gae ujadte hain roz hum basi-basai bastiyan khusha wo log jo makin-e-ragh ban ke rah gae