rukh-o-zulf ka hun fasana-khwan yahi mashghala yahi kaam hai mujhe din ka chain azab-e-jaan mujhe shab ki nind haram hai tere intizar mein hai tab ye mariz-e-hijr hai jaan-ba-lab kahin aa bhi wada-khilaf ab ki yahan to kaam tamam hai kahun hasraton ka hujum kya dar-e-dil tak aa ke wo bewafa mujhe ye suna ke palat gaya ki yahan to majma-e-am hai na wo mehr-o-mah ki tabishen na wo akhtaron ki numaishen na wo aasman ki hain gardishen na wo subh hai na wo sham hai mere dam pe ishq mein hai bani tujhe waz-o-pand ki hai padi mere naseha tujhe bandagi teri dosti ko salam hai na sataen wo na sataen wo idhar aaen wo idhar aaen wo na sahi mujhi ko balaen wo ye khayal-o-baatil-o-kham hai tap-e-gham se hoti hai ab mafar ki tabib-e-marg hai chaara-gar mera qissa aaj hai mukhtasar meri dastan tamam hai hai kahan wo saqi-e-tund-khu ki hai mai-kade mein ye ha-o-hu kahin sar-nigun hain khum-o-subu kahin shisha hai kahin jam hai nahin dil ko fikr ye be-sabab gaya din kahan hui raat kab mujhe roz-e-wasl hai ajab abhi subh thi abhi sham hai na wo mehman-e-harim-e-dil na khayal is ka muqim-e-dil hui qata rasm-e-qadim-e-dil na payam hai na salam hai kahin husn walon ke darmiyan ye ghazal suni to kaha ki han ye hai nazm-e-'saqib'-e-khush-bayan ye usi ka tarz-e-kalam hai