rukh pari chashm pari zulf pari aan pari kyun na ab nam-e-khuda ho tere qurban pari jhamke jhamke wo surayya ke kiran phul wo phul bunde baale pari moti pari aur kan pari rashk-e-khurshid jabin abr-e-siyah si patti lahr choti ki ghazab zulf-e-pareshan pari husn gulzar qamar shakl surahi gardan mah-jabin seb-e-zaqan chah-e-zanakhdan pari mar ghamza ki bala tir-e-nigah dast-e-sinan tegh-e-abru ki sitam tarkash-e-mizhgan pari muskurane ki ada jaise chamak bijli ki aan hansne ki qayamat lab-o-dandan pari aankh masti ki bhari shokh nigahen chanchal qahr kajal ki khachawat misi o pan pari beni aur nath ka wo aalam ki chhide dil jis se hur chunni ki jhalak gauhar-e-ghaltan pari dhukdhuki chand si jugnu bhi sitaron ki misal itr-dan turfa wo tode bhi darakhshan pari chaak sine ka ghazab saf badan moti sa ek taswir si kurti ka gareban pari pusht gul-barg shikam sim kamar tar-e-nigah san-e-billor gulawat mein har ek ran pari ghera pashwaz ka wo jis ke kanari qurban chaal aafat ki nishan jumbish-e-daman pari kya kahun us ke sarapa ki main tarif 'nazir' qad pari dhaj pari aalam pari aur shan pari