ruki hui hai abhi tak bahaar aankhon mein shab-e-visal ka jaise khumar aankhon mein mita sakegi use gard-e-mah-o-sal kahan khinchi hui hai jo taswir-e-yar aankhon mein bas ek shab ki masafat thi aur ab tak hai mah o nujum ka sara ghubar aankhon mein hazar sahib-e-rakhsh-e-saba-mizaj aae basa hua hai wahi shah-sawar aankhon mein wo ek tha pa kiya us ko jab tah-e-talwar to bat gaya wahi chehra hazar aankhon mein