shart-e-diwar-o-dar-o-baam utha di hai to kya qaid phir qaid hai zanjir badha di hai to kya ab bhi tan tegh se lad jae to chhan bolta hai waqt ne is pe agar dhul jama di hai to kya mere khusraw ne mujhe gham bhi ziyaada bakhsha daulat-e-ishq agar mujh ko siwa di hai to kya hum bhi tayyar hain phir jaan lutane ke liye samne phir wahi kufa wahi wadi hai to kya mujrim-e-dil ko kahan faisla sunne ka dimagh us ne bakhsha hai to kya aur saza di hai to kya