ye ped ye pahad zamin ki umang hain sare nasheb jin ki uthanon pe dang hain bahar ho habs phir bhi daricha khula rakhun ye khud tasalliyan mere jine ka dhang hain dhundun ki intiha ki mujhe intiha mile ye shash-jahat meri tamanna pe tang hain ek umr ek makan ki tamir mein lage ayyam se ziyaada garan khisht-o-sang hain chahke hazar saut mein ye tair-e-nazar kirnon ke pas yun to yahi sat rang hain waise hamein nadamat-e-be-chehragi nahin har-chand tere shahr mein be-nam-o-nang hain