shakh se phul ko phir juda kar diya zakhm pedon ka kis ne hara kar diya ek tukda khushi ka tha rakkha hua jaane kis shakhs ne lapata kar diya kyun talluq ki buniyaad dahne lagi be-yaqini ko kis ne khada kar diya pahle manzil dikhai mujhe aur phir band chaaron taraf rasta kar diya waqt khud apne chehre se dar jaega main ne ehsas ko aaina kar diya kaun khush-fahmiyan palta roz-o-shab shukr hai zindagi ne riha kar diya waqt ne chaal kaisi chali ai 'hasan' dost jaise ko dushman-numa kar diya