sab kuchh hai ayan phir bhi hai parda mere aage duniya hai teri ek karishma mere aage main pyas ki shiddat ka falak chum rahi hun ghista hai jabin khak pe dariya mere aage main khud ko lakiron mein kahin dhund hi leti mutthi wo kabhi khol to deta mere aage jis samt bhi dekhun hain sarabon ki saliben phaila hai ajab ret ka sahra mere aage tanqid meri un ke gunahon pe nahin thi aaina-e-amal rakha tha mere aage na-karda gunahon ki saza pai hai 'nusrat' insaf hua shahr mein ruswa mere aage