sab ka chehra pas-e-diwar-e-ana rahta hai aaine se yahan har shakhs khafa rahta hai phir bhi hum log wahan jite hain jine ki tarah mausam-e-qahr jahan thahra hua rahta hai us ke aane ki ab ummid nahin hai raushan phir bhi darwaza-e-dil hai ki khula rahta hai rang-e-tabir chamakta hi nahin aankhon mein raat bhar khwab ka bazar saja rahta hai bas usi aks se khaif hai har ek shakhs yahan aaina-khane mein jo chehra-numa rahta hai khana-e-dil pe hukumat hai usi ki 'akhtar' ye alag baat ki wo mujh se khafa rahta hai