tha meri KHwahishon mein jo kal pech-o-tab sa

tha meri khwahishon mein jo kal pech-o-tab sa
lagta hai us ka zikr bhi ab to azab sa

bikhra hua tha chaaron taraf main waraq-waraq
us ne mujhe samet liya hai kitab sa

ab tak basa hua hai koi la-shuur mein
ab tak mahak raha hai pasina gulab sa

phir is ke ba'd hogi kahani ki ibtida
ye intishaar to hai faqat intisab sa

kyon waz-e-ehtiyat mein kati tamam umr
puchhe jo zindagi to rahun la-jawab sa

dekhun to dur tak na sitare na chandni
sochun to apna zakhm lage aaftab sa

hijrat ka zakhm ab bhi khatakta hai panw mein
ab bhi 'ziya' hai dahr mein khana-kharab sa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close