sab ek charagh ke parwane hona chahte hain ajib log hain diwane hona chahte hain na jaane kis liye khushiyon se bhar chuke hain dil makan ab ye aza-khane hona chahte hain wo bastiyan ki jahan phul hain darichon mein isi nawah mein virane hona chahte hain takallufat ki nazmon ka silsila hai siwa talluqat ab afsane hona chahte hain junun ka zom bhi rakhte hain apne zehn mein hum pade jo waqt to farzane hona chahte hain